Kuch hassi sach the uske
Kuch uske gham chupate the
Khushi ke mauke par hi uske aansun
Na jane kaise nazar aajate the
Kai baatein thi uske mann me
Jo gale tak aakar rukh jate the
Shayad nayi zindagi mil jati unhe
Agar waqt par bayan ho jate the
Ek undekhi tadap thi uski ankhon me
Apne sapno ko hasil karne ki
Par apno ke khushiyon ke bich
Dab kar agyat hi reh jate the
Bana liya tha usne apne andar ek alag hi duniya
Jaha chuppi bhi bohot kuch keh jati thi
Kafi shor tha jaha ke sannaton mein bhi
Jo band kaano se bhi sunayi de jati thi.
Ek anjani jabaan thi uski saanson ki
Jise samajna abhi baki tha
Kafi mod the uski baaton me
Jise parakhna abhi baki tha
Raftaar se bekhauf zindagi uski
Kyu thehre paani ki tarah tham si gayi
Uske muskurahat k piche chupe
Un namm ankhon ka raaz jaanna abhi baki tha.
No comments:
Post a Comment