Martyr Poetry


Rakh kar tere hatho me mera dil
Nikal gaya tha me desh ki seva me
Ae ma mujhko maaf kar dena
tujhse jyada desh ka hogaya tha me

Bohot yaad aati thi maa mujhko teri
Jab us barfile virane me bhi
Dushmano se ladna pad jata tha
Kahi baar waha goliyon se bhi jyada
Kudrat ka maar sehna pad jata tha

Ghabra jata tha me jab dushmano
Ki goli sharir ke kisi ang se chir kar nikal jati
Nazron ke samne aa jata wo chehra tera
Jab teri wo nazren mere challi hue sharir ko dekhkar ro pad jati

Par tu fikar math karna maa
Dekhna meri is kurbani se desh ke kitne log aaj surakshit jee rahe honge
Meri banduk se nikli har un goliyon se
Aaj kahi parivaar sukun se apne gharon me so rahe honge

Sina garv se ful raha tha mera maa
Jab jang me thoda thoda kar mera jaan nikla jaa raha tha
Sharir desh ki mithi ki aur jhukta jaa raha tha
Aur aathma...
Aathma aasman me lehrate 
Tirange ke rango me rangta ja raha tha

Kaise bayan karu un palon ko shabdo me maa
Tu toh sab samajhti hai
Jab tujhe akhiri bar alvida kahe ja raha tha
Usi waqt me tujhse alag chuka tha maa
Tu toh sab jaanti hai

Yaad rakh na meri baaton ko mere jaane ke baad
Ki mere desh ki zarurat hu me
Teri ankhon ka moti bayan hu me
Mujhko dekh kar yu tut na jana maa
Kyu ki is bharat maa ka shahid jawan hu me

3 comments: