Ek Paigaam Zindagi Ka


Pal do pal Ki hai ye zindagi humari
Kyu taklif me isko dafnaya jaye
Hasi Khushi masti me jiye hum ise
Jane kis pal maut ka paigaam aa jaye

Na janam par Kisi ka niyantran raha hai
Na maut par Kisi ka hukumat chala hai
Bhavishya kisine nahi dekha fir bhi na Jane
kis baat ka logo ko itna ghamand chada hai

Na Jane humne kitno ko rulaya hoga
Na Jane hume kitno ne rulaya hoga.....
Maafi mangne se koi chota nahi Hua hai
Maaf kar dene se nahi koi bada ho gaya hai...

Jo chod kar Gaye unhe bhool jao
Jo aaye hai zindagi me unhe gale lagao
Jisne jo boya, waisa hi paya hai
Hum insano ka hamesha se ye hi husool raha hai

Toh aao is zindagi ko dil khol kar jiye hum
Zindagi ke ghamo ko pee kar khul kar muskuraye hum
Agar pyaar se dushmani ko bhi mitaya ja sakta hai
Toh ek choti si muskaan se rothon ko bhi hasaye ja sakta hai

Suna tha Khushi baatne se Khushi milti hai
Baat kar dekha toh samajme aya ki sach hai
Toh Kyu na Khushi baat kar hi zindagi ka maza liya jaye yaaron..
Jane kis pal maut ka paigaam aa jaye...

No comments:

Post a Comment