Wo bhi kya waqt tha



Wo bhi kya waqt tha
Jab dil ka jazbaa
Hoonton pe aa tapakta tha
Mann me jo gussa hota tha
Wo chehre par aa dikhta tha
Khushi mano chand par poch gaya ho
Jab pehli bar mene chalna sikha tha
Na girne ka dar tha
na jalne ka khauf hua karta tha
Jaha chahu chal diya karta tha
Kahi par bhi apne hath rakh diya karta tha
Na shabdon ka koi gyaan tha
Na jhoot se pehchan hua tha
Jise jo chahu keh diya karta tha
Jider jab chahu so jaya karta tha
Koi nadaan samaj kar maaf kar deta tha
Toh koi shaitan bol kar mann hi mann gaali de diya karta tha
Jise jo samajna tha samaj jata tha
Me toh masumiyat ke chadar me lipta hua tha
mujhko kya farak pad jata tha
Na thakta tha na rukhta tha
Jisse jo chahu ro kar manva diya karta tha
Wo bhi kya waqt tha...

Wo bhi kya waqt tha
Jab din kaafi lamba hua karta tha
Aur raat sapno ke mithas me doob jaya karta tha
Wo bhi kya waqt tha jab Ek hi thali me maa 
Hum bhai behen ko khana khila diya karti thi
Bhooton ki kahani bata kar
Hume raat ko sula diya karti thi
Tabhi akelepan ki bhi kabhi chinta nahi rehti thi
Me toh khilono se bhi baatein kar liya karta tha
Na hi apne niwalon ki kabhi fikar rahi mujhe
Me toh padosiyon ke thali ke aage bhi shaan se beth jaya karta tha
Na dosti samajme aati thi 
Na nafrat dikhayi deta tha
Jo sath khelta tha
Wo hi apna yaar hojata tha
Na dharam se parichay hua tha
Na jaati ka koi samaj tha
Jo pehle bowling karta tha
Wo hi apna bhai ban jata tha

Wo bhi kya waqt tha...
Wo bhi kya waqt tha...



No comments:

Post a Comment