Martyr Poetry


Rakh kar tere hatho me mera dil
Nikal gaya tha me desh ki seva me
Ae ma mujhko maaf kar dena
tujhse jyada desh ka hogaya tha me

Bohot yaad aati thi maa mujhko teri
Jab us barfile virane me bhi
Dushmano se ladna pad jata tha
Kahi baar waha goliyon se bhi jyada
Kudrat ka maar sehna pad jata tha

Ghabra jata tha me jab dushmano
Ki goli sharir ke kisi ang se chir kar nikal jati
Nazron ke samne aa jata wo chehra tera
Jab teri wo nazren mere challi hue sharir ko dekhkar ro pad jati

Par tu fikar math karna maa
Dekhna meri is kurbani se desh ke kitne log aaj surakshit jee rahe honge
Meri banduk se nikli har un goliyon se
Aaj kahi parivaar sukun se apne gharon me so rahe honge

Sina garv se ful raha tha mera maa
Jab jang me thoda thoda kar mera jaan nikla jaa raha tha
Sharir desh ki mithi ki aur jhukta jaa raha tha
Aur aathma...
Aathma aasman me lehrate 
Tirange ke rango me rangta ja raha tha

Kaise bayan karu un palon ko shabdo me maa
Tu toh sab samajhti hai
Jab tujhe akhiri bar alvida kahe ja raha tha
Usi waqt me tujhse alag chuka tha maa
Tu toh sab jaanti hai

Yaad rakh na meri baaton ko mere jaane ke baad
Ki mere desh ki zarurat hu me
Teri ankhon ka moti bayan hu me
Mujhko dekh kar yu tut na jana maa
Kyu ki is bharat maa ka shahid jawan hu me

Wo bhi kya waqt tha



Wo bhi kya waqt tha
Jab dil ka jazbaa
Hoonton pe aa tapakta tha
Mann me jo gussa hota tha
Wo chehre par aa dikhta tha
Khushi mano chand par poch gaya ho
Jab pehli bar mene chalna sikha tha
Na girne ka dar tha
na jalne ka khauf hua karta tha
Jaha chahu chal diya karta tha
Kahi par bhi apne hath rakh diya karta tha
Na shabdon ka koi gyaan tha
Na jhoot se pehchan hua tha
Jise jo chahu keh diya karta tha
Jider jab chahu so jaya karta tha
Koi nadaan samaj kar maaf kar deta tha
Toh koi shaitan bol kar mann hi mann gaali de diya karta tha
Jise jo samajna tha samaj jata tha
Me toh masumiyat ke chadar me lipta hua tha
mujhko kya farak pad jata tha
Na thakta tha na rukhta tha
Jisse jo chahu ro kar manva diya karta tha
Wo bhi kya waqt tha...

Wo bhi kya waqt tha
Jab din kaafi lamba hua karta tha
Aur raat sapno ke mithas me doob jaya karta tha
Wo bhi kya waqt tha jab Ek hi thali me maa 
Hum bhai behen ko khana khila diya karti thi
Bhooton ki kahani bata kar
Hume raat ko sula diya karti thi
Tabhi akelepan ki bhi kabhi chinta nahi rehti thi
Me toh khilono se bhi baatein kar liya karta tha
Na hi apne niwalon ki kabhi fikar rahi mujhe
Me toh padosiyon ke thali ke aage bhi shaan se beth jaya karta tha
Na dosti samajme aati thi 
Na nafrat dikhayi deta tha
Jo sath khelta tha
Wo hi apna yaar hojata tha
Na dharam se parichay hua tha
Na jaati ka koi samaj tha
Jo pehle bowling karta tha
Wo hi apna bhai ban jata tha

Wo bhi kya waqt tha...
Wo bhi kya waqt tha...



Stand above the rejection


I woke up today
From the bed of nails
I heard demons mourn
When i walk under the hails
I jumped off the sky
My fears to scale
Now there is new river
Trimming my vale
I have learned to detonate
All the bombs of the hate
Still i could not regulate
The courses of my fate
I have strengthened my faith
No matter how much i fail
I'm all equipped to sail
Beyond the pale

Now there is no more smell of agitation
It's time to stand above the rejection

You drown me into the sea
I will rise up from the fires
You bind with the chains beneath
I will break the church spires
My shoulders have suffered
And my life is awful and dire
Still there is no height i can see
That i could not aspire
To all the wounds you gave me with the knife
I am gonna respond with gunfire
Hear me from all the senses you have
Today I declared this in prior
It's my life, my fucking life
And I am the only squire...

Now there is no more smell of agitation
It's time to stand above the rejection

Friendship day poetry




Nasha bottle me nahi
Sath jami mehfil me hoti hai
Kya kaha hai buzurgon ne
Jo kaha hai khoob kaha hai
Nasha bottle me nahi
Sath jami mehfil me hoti hai
Aur wo mehfil hi kya jami
Jaha yaaro ka chutiyappa na ho

Dhalte din ko
Tune yun sambhala
Haar kar bhi
Me nahi haara
Yaar tune dosti ka
Ek naya sambak
Sikha dala

Yaad hai mujhe abhi wo din
Jaha ek hi pen se hum apna exam paper bhar diya karte the
Na pass hone ki khushi rehti thi
Na fail hone ka gham hua karta tha
Yaad hai mujhe abhi wo din
Jab class me hum sath me late aya karte the
Dusro ko notes ki chinta rehti thi
Aur hume last bench pe betne ki
Yaad hai mujhe abhi wo din
Jab ek hi ladki ke piche hum dono lage rehte the
Teri bhabhi, teri bhabhi bolte bolte
Wo kab hum dono ki bhabhi hogayi pata hi nahi chala
Raste pe mile the hum dono anjaan ki tarah
Chalte chalte Kab itna gehra hogaya rishta humara pata hi nahi chala

Dhalte din ko
Tune yun sambhala
Haar kar bhi
Me nahi haara
Yaar tune dosti ka
Ek naya sambak
Sikha dala

Yaad hai mujhe abhi wo din
Jab canteen me khana kha kar hum
Ek dusre ki aur dekha karte the
Manager ko bill ki chinta rehti thi
Aur hume waha se chupchap satak ne ki
Yaad hai mujhe wo sare naam
Jis se hum apne class ke teachers ko bulaya karte the
Yaad hai mujhe wo saare din 
Jab hum class bunk marke tapri ke chai pine jaya karte the
Haseen the wo pal jo humne ek ek kar sath jode hai
Haseen hai humari dosti jo naadani ke beej se pali hai
Yaad rahegi mujhe hamesha wo wafadari ki sari kasmein
Jo tune bina khaye nibhaye hain
Yaad rahegi logo ko humari dosti hamesha
Jo bina kisi swarth ke hamesha sath rahe hai
Bas aaj ke din ek baat kehna chahtu hu yaar
Jo hamesha kehta aya hu tujhse
Chutiya hai tu aur chutiya hi rahega
Agar bhul bhul gaya ho toh yaad kar lena ye baat firse.