Jane kya sochta hai mann
Jane kya samajhta hai mann
Kissa kai sare andar samete hue
Jane kya dikhlana chahta hai mann
Janta toh sab kuch hai ye
Kehna bohot kuch chahta hai
Par majburiyon ke bhoj tale dab
Chup sa reh jata hai mann
Kai isharen undekhe reh gaye
Ansuni reh gayi kai baatein iski
Anek koshishon se mili asafalta se
Ab toh bas ruth sa gaya hai mann
Na baand saka ise koi zanjeeron se
Na koi dor rokh saki hai ise
Fir bhi ab do lafz apni chahat ke
Bayan karne se ghabra jata hai mann
Ab toh kisi par aane se hi dar jata hai ye
jisse pyaar karta hai
use khone ka dukh sath liye chalta hai ye
Ajeeb khel khilati hai zindagi ise
Jaha apno ko bhula na
Aur paraye ko apna na padta hai
Ek aisa khel,
Jisme har waqt jeet tha hai
Aur har waqt haar tha hai ye Mann
No comments:
Post a Comment