Kya socha tha
Kya ho gaya
Zindagi ke daud me
Zindagi chala gaya
Socha tha ab nahi rukhunga
Bohot gira hu, magar ab nahi girunga
Niyathha tha me, niyathha hi ladunga
Kisi ki daya ka mohtaj nahi banunga
Lekin aage badne ke jazbe me
Logo ko piche chodta chala gaya
Aasman chu ne ki aas me
Rishton ke dor kaat tha chala gaya
Haar k dard se ladte ladte
Pata nahi kab safalta se jyada
Me jeet ko gale lagata chala gaya
Kya socha tha
Kya ho gaya
Zindagi ki daud me
Zindagi chala gaya
Socha tha madat karna hi
Zindagi ka asli mahatva hai
Par bhul gaya tha ki daldal me reh kar
Kisi ko daldal se nahi nikala ja sakta
Waqt ki laher me beh kar
Sapno ko hasil nahi kiya ja sakta
Me toh bas apni thali baat tha chala gaya
Dusro ke ansoon poch
Apni parchai me dhas tha chala gaya
Socha tha ek mauka mil jaye
Par anjane me
Mile hue maukon ko daan kar
Kismat ko khos tha chala gaya
Kya socha tha
Kya ho gaya
Zindagi ki daud me
Zindagi chala gaya
Nice lines.
ReplyDeleteThank you!!
Delete