Gham ke khazane sath liye, khushiyon ko talash ne nikla tha



Gham ke khazane sath liye
Khushiyon ko talash ne nikla tha
Khushiyan toh milne se rahi
Khazane ka sanduk bhi kisi ne chura liya

Khol ke dekha usne jab sanduk ko
Uttejit ankhen uski bhar ayi
Pehle pareshan tha wo ki churau kaise
Ab bechara pareshan hai ki lotau kaise

Rasta rokh kar mera usne mujhse kaha
'sochta tha me ki gham mere hi zyada hai
Par is sanduk ko dekh kar pehli bar ye jana
Ki is duniya me mujh jaise bhi koi aur hai'

Has kar alvida kaha mene usse
Aur apne talash ki or aage badta gaya
Jaise hi thodi duri tak chala toh
Kuch uchakko ne mera rasta rokh liya

Rakh kar meri gardan par churi unhone
Us sanduk ko mujhse chin liya
Ankhen namm aur chehre par hasi liye
Kaha mene unse kya tum rakh paoge apne pas ise

Ghutno par aagaye wo sab jab
Dekha ki kya rakha hai is sanduk me
Har kisi ki ankhein kuch keh rahi thi mujhse
Mano mera dard samajh liya ho kisi ne

Lekar apna sanduk chal pada fir me apni rah par
Par is bar sanduk pehle se kafi halka tha
Khol kar dekha usko jab mene to paya
Ki sanduk pehle se adha khali tha

Gazab kar gaye wo dono log
Jo apni fithrat par ek dum se ade rahe
Wo waqt tha jab mene gairon me apno ko paya
Pehli baar mujhe chor uchakko par bhi pyaar aya

Khushiyan dhundne se nahi milti
Gham chupane se kam nahi hote
Kisi ko bata kar dekho, kisi ko jata kar dekho
Shayad ye hi samjhana chahti thi aaj meri zindagi mujhe

1 comment: